Hamara Maqsad aur Manzil
Hamara Maqsad aur Manzil
”Sirf Kitabi Ilm Nahi, Hazrat Khadija (رضي الله عنها) ke Naqsh-e-Qadam par Kirdar-e-Saliha ki Tamir.”
”Sirf Kitabi Ilm Nahi, Hazrat Khadija (رضي الله عنها) ke Naqsh-e-Qadam par Kirdar-e-Saliha ki Tamir.”
Hamne is academy ka naam ‘Al-Khadijah’ mahaz ek naam ke taur par nahi, balki ek azim ‘Legacy’ (virsa) ko zinda karne ke liye rakha hai. Hazrat Khadija (رضي الله عنها) wo azim khatoon hain jinhone dunya ko dikhaya ki ek aurat ilm, tijarat (business), sabr aur gharelu zindagi mein kaise bulandiyan hasil kar sakti hai.
Hamara Vision: Hum Ladkiyon ko Kya Banana Chahte Hain?
Hamari koshish hai ki hamari har taliba (student) Hazrat Khadija (رضي الله عنها) ki zindagi se ye 4 buniyadi sabaq seekhkar ek behtareen aurat bane:
1. Rafaqat aur Tasdeeq (Family Ethics & Support)
Aap (رضي الله عنها) ne Allah ke Rasool (ﷺ) ki us waqt tasdeeq ki aur unka be-misal sath diya jab dunya mukhalifat par utar aayi thi. Hum chahte hain ki hamari ladkiyan aisi ‘Sakan’ (sukoon) banien jo apne ghar ko Jannat banayein, shauhar ki mazboot quwwat aur behtareen rafiqa-e-hayat (partner) hon.
2. Ilm aur Hikmat (Intellectual Depth)
Aap (رضي الله عنها) ne sabse pehle haq ko pehchana. Hamara maqsad sirf ratta marna nahi, balki Quran-o-Hadees ki roshni mein aisi ‘Basirat’ (insight) paida karna hai ki ladkiyan sahi aur galat, saazish aur haqiqat mein farq kar sakein.
3. Sabr aur Isteqamat (Resilience)
’She’b-e-Abi Talib’ ki sakhtiyon mein aapne jo sabr dikhaya, wo hamare liye misal hai. Hum apni bacchiyon ko sikhate hain ki mushkilat, jhoote ilzamaat ya saazishon se ghabrana nahi hai, balki Allah par tawakkul karke mazbooti se khade rehna hai.
4. Tijarat aur Business (Financial Independence)
Hazrat Khadija (رضي الله عنها) us zamane ki sabse kamyab businesswoman thin. Hum ladkiyon ko sikhana chahte hain ki wo apne hunar aur ilm ke zariye kaise ba-izzat tareeqe se digital dunya mein apna muqam banayein aur mashi (financial) taur par mazboot hon.
Hamare Courses ki Tafseel aur Fazilat "Ilm sirf huroof ka naam nahi, ye wo noor hai jo insan ko uske Khaliq se mila deta hai."
1. Aalima Course: Qurb-e-Ilahi ka Azeem Safar
Ilm: Allah ke Qareeb Hone ka Rasta
Insaan ki takhliq ka maqsad hi Allah ki pehchan (Ma’rifat) hai. Aalima Course dar-asl us pehchan ki pehli seeri hai. Jab ek taliba Quran-o-Hadees ke samandar mein ghotazan hoti hai, toh use ehsas hota hai ke Allah kitna Raheem aur Kareem hai.
Kyun zaroori hai ye safar?
Ma’rifat-e-Ilahi: Jitna zyada hum deen ko samajhte hain, utni hi hamari ibadat mein ‘Huzoor-e-Qalb’ (focus) paida hota hai.
Roohani Sukoon: Allah ka qurb (closeness) dunya ki har pareshani ka wahid hal hai. Ilm insaan ko batata hai ke “Allah mere saath hai.”
Tazkiya-e-Nafs: Ilm hamare andar se gussa, hasad aur takabbur ko nikaal kar humein ek “Mukhlish Banda” banata hai.
Quran-o-Hadees ki Raushni mein Fazilat:
1.1. Allah ka Qurb aur Khauf:
Allah Ta’ala Quran-e-Kareem mein irshad farmata hai:
”Allah se uske wahi bande darte hain jo ‘Ilm’ rakhte hain.” (Surah Fatir: 28)
Yani ilm hi wo zariya hai jo dil mein Allah ki azmat aur uski mohabbat paida karta hai.
1.2. Jannat ka Asaan Rasta:
Huzoor ﷺ ne irshad farmaya:
”Jo shakhs ilm ki talash mein kisi raste par chalta hai, Allah uske liye Jannat ka rasta asaan kar deta hai.” (Sahih Muslim)
1.3. Behtareen Insaan:
”Tum mein se behtareen wo hai jo Quran seekhe aur sikhaye.” (Bukhari)
Al-Khadijah Academy ka Khas Touch:
Hum aapko sirf kitabein nahi parhate, balki aapke dil ko “Ishq-e-Rasool ﷺ” aur “Khauf-e-Khuda” se roshan karte hain. Hamara maqsad aapko ek aisi Aalima banana hai jo:
Apne ghar ke liye Noor ho.
Apni naslon ke liye Dhaal ho.
Aur Allah ke huzoor ek Maqbool bandi ho.
3. Tajweed Course (The Beauty of Quran)
Quran se Ishq aur Uska Haq
Tajweed-ul-Quran: Allah ke Kalam ko Uska Haq Dein
”Quran ko tarteel (thehar kar aur khubsurati) ke saath padho.” — (Al-Muzzammil: 4)
Kya aap janti hain ke Tajweed sirf ek fun (art) nahi, balki Quran ka hum par ek karz hai? Al-Khadijah Virtual Academy mein hum Tajweed ko ek naye aur aasaan andaz mein seekhenge.
Hum Tajweed Kyun Padhenge? (The Importance)
Galti se Tahaffuz: Arabi zaban mein ek choti si galti pure jumle ka matlab badal deti hai. Tajweed humein “Lahan-e-Jali” (badi galtiyon) se bachati hai.
Namaz mein Khushu: Jab tilawat sahi aur khubsurat hoti hai, toh namaz mein dil lagne lagta hai.
Rasool-e-Khuda (ﷺ) ki Sunnat: Quran usi tarah padhna chahiye jaise Jibrail (Alaihissalam) ne Huzoor (ﷺ ko sikhaya.
Roohani Sukoon: Sahih makhraj se nikli hui harat (vibration) dil ko sukoon deti hai.
Is Course mein Hum Kya Padhenge? (Point by Point)
Makharij-e-Huroof: Har harf ko uske sahi makhraj (origin) se nikalna (Maslan: ‘Alif’ aur ‘Ain’ ka farq).
Sifaat-e-Huroof: Harf ki khususiyaat (Kaun sa harf pur/mota padha jayega aur kaun sa bareek).
Ahkam-e-Tajweed: Noon Sakin, Tanween, aur Madd ke rules ko asani se samajhna.
Lahan aur Uska Hal: Tilawat ki un galtiyon ko pehchanna jo aksar hum anjane mein karte hain.
Mashq (Practice): Har sabaq ke baad Surah Fatiha aur aakhri para (Juz Amma) ki amli mashq.
Ek Choti Galti, Bada Nuksan (Misaal/Example):
Tajweed kyun zaroori hai? Is ek misaal se samjhein:
Qul (قُلۡ): Agar aapne ‘Qaaf’ (mote wala) sahi padha, toh iska matlab hai “Keh dijiye” (Jaisa Surah Ikhlas mein hai).
Kul (كُلۡ): Agar aapne ise ‘Kaaf’ (bareek wala) padh liya, toh iska matlab ho jata hai “Kha lijiye” (Khane ka hukm).
Zara sochiye! Sirf ek harf ke makhraj ki galti se “Allah ka hukm” badal kar “khane ka hukm” ban gaya. Tajweed humein isi gunah aur galti se bachati hai.
”Aaiye, apni tilawat ko wahi husn dein jo Allah ko pasand hai.”
Ustadah Parveen Sharif ki nigrani mein online Tajweed Classes ka aaghaz ho raha hai.
2. Muballigha Course (The Voice of Truth)
Kya hai? Deen ki dawat dene ka saleeqa, behtareen bayaan (Public Speaking) aur dilon tak apni baat pahunchane ka fan.
Kyun zaroori? Sirf ilm hona kafi nahi, use sahi dhang se doosron tak pahunchana bhi ek sunnat hai. Ye course bacchiyon mein aitmad (confidence) paida karta hai.
Fazilat-e-Dawat: Quran-e-Kareem mein irshad hai:
”Aur us shakhs se acchi baat kis ki hogi jisne Allah ki taraf bulaya.” (Surah Ha-Meem Sajda: 33)
Muballigha ban kar aap isi ‘Ahsan’ (behtareen) amal ka hissa banti hain.
4.Urdu Course (The Language of Culture)
Kya hai? Apni maderi zaban ki mithaas, behtareen likhayi (Writing), adab aur durust talaffuz.
Kyun zaroori? Urdu hamari tehzeeb aur buzurgon ki virasat hai. Apni zaban se jud kar hi hum behtareen adab aur deeni kitabon ko samajh sakte hain.
Fazilat: Zaban ka sahi istemal ‘Adab’ hai, aur adab hi insaan ko ba-kirdar banata hai.
Hadiya E Danish(Ilm ka Tohfa bagair kharch ke): Aam Da'wate Khair
“Hulool-e-Ilm” (Ilm ka dakhil hona): 3 Din ka Ilmi Workshop (Islamic Mauzuat)
Har mahine ke Teen din, teen unwan aur be-shumar hikmatain! Hamari is makhsoos nishast mein aapko deen ke bareek masail aur unke hal ko hikmat ke saath samajhne ka mauka milega. Ye sirf ek dars nahi, balki apni fikr ko Quran-o-Sunnat ki roshni mein sanwarne ka ek shahr-e-ilm hai.”
“Is ilmi dars-o-tadrees ka hissa baniye”
Bazm-e-Irfan o Sakinat (Noori Mahfil)
Hafte bhar ki thakan ke baad, apne dil ko sukoon aur rooh ko tazgi dene ke liye tashreef layein hamari haftawar mahfil mein. Jahan zikr-e-Ilahi aur ba-barkat guftagu se dilon ko munawwar kiya jata hai. Aaiye, is noorani bazm mein shamil ho kar apni shamon ko ba-maqsad banayein.”
“Is barkat-bhari bazm mein tashreef layein
Al-Khadijah Academy: Hamari Khususiyaat (Unique Features)
1. Weekly “Sukoon-e-Dil” Session (Group Counseling)
Hafte mein ek din main ek Life Coach ke taur par bacchon se baat karengi.
Maqsad: Unke zehni dabao (stress), darr, ya ghar ke masail par baat karna aur Quran-o-Hadees ki roshni mein unhein “Emotional Intelligence” sikhana.
Benefit: Bacchiyan aapki aur zindagi ki kadr sikh kar sahi disha me chaln lagengi
2. “Qalam-e-Baseerat” (Insightful Pen: Creative Writing Workshop)
Aisa Qalam jo hosh aur samjh bujh ke saath likhta ho. Chunki main khud ek Author aur Columnist hun to main bacchon ko deeni masail aur zaati jazbaat ko tahqeeq aur haq ke sath kagaz par utarna sikhayenge.
Activity: Har mahine ek unwan (topic) par behtareen mazmoon ya nazm likhne wali bacchon ka kaam aap apne Blog par publish karein.
Benefit: Unka confidence badhega aur wo khud ko ek “B-asar shakhsiyat” mehsoos karengi.
4. “Saut-o-Bayan” (Naat-o-Zikr aur Fan-e-Khitaabat)
‘Bolna sab ko ata hai lekin baat kaise ki jaye- ye ek fun hai. Sirf parhna hi nahi, balki apni awaaz se dilon ko munnawar (roshan) karna bhi hamari tarbiyat ka hissa hai.
Naat-e-Rasool (ﷺ): Bacchiyon ko adab aur tajweed ke saath Naat parhna sikhana, taaki unke dilon mein Ishq-e-Rasool (ﷺ) ki shama jale aur unki awaaz mein ek roohani mithaas paida ho.
Fan-e-Bayan (Public Speaking): Aaj ke daur mein ek Aalima ko pur-aitamaad (confident) hona chahiye. Hum bacchiyon ko stage par bolne, daleel pesh karne, aur pur-asar andaaz mein bayaan karne ki practice karwayenge.
Benefit: Isse bacchiyon ka stage-fear khatam hoga aur wo kal ko deen ki behtareen muballigha (preacher) ban kar ubhrengi. Aur apni baat ko awaz ke utar chadhav, daleel aur taseer ke saath pesh karengi.
3. “Bazm-e-Adab” (Urdu Shayari & Prose)
Urdu ki mithaas ko zinda rakhne ke liye mahine mein ek baar online Mushaira ya Bait-baazi ka muqabla.
Maqsad: Zaban-o-bayan mein nazaqat aur adab paida karna.
Benefit: Ye unhein ‘Mantiq’ (Logic) ke saath saath ‘Mohabbat’ aur ‘Tezeeb’ bhi sikhayega.
Hamari Privacy aur Tahaffuz ki Policy
”Aapki betiyan hamari apni betiyan hain.”
Data ki Amanat: Aapka naam, phone number aur tamam maloomat hamare paas mukammal taur par mahfooz hain. Ye kisi bhi teesre shakhs ya idare (third party) ko nahi di jayengi.
Safe Online Environment: Hamari online classes sirf mahfooz platforms (Zoom/Google Meet agar zaroorat padi to telegram) par hongi, jahan sirf registered bacchiyon ko hi dakhla milega.
Parday ka Ehtamam: Classes ke dauran bacchiyon ki privacy aur parday ka mukammal khayal rakha jayega.
Direct Rabta: Kisi bhi masle ya fikar ki surat mein parents seedha mujhse (Ustadah Parveen Sharif) rabta kar sakte hain.
Sikhne ke is safar me Khush-amadeed:Apni salahiyaton ko Deen ki khidmat ke liye waqf karen
”Hazrat Khadija (رضي الله عنها) ki Legacy: Izzat, Ilm aur Khud-daari ka Safar”
Kya aap tayyar hain us raste par chalne ke liye jahan ilm sirf kitabon mein nahi, balki aapke kirdar aur sukoon-e-qalb mein nazar aaye? Hum ne is academy ki buniyad Umm-ul-Momineen Hazrat Khadija (رضي الله عنها) ki seerat ki roshni mein rakhi hai—taki har beti ba-izzat, pur-aitamad aur deen-o-dunya mein kamyab ban sake.
Mahdood Seats (Limited Intake): Hum har bacchi ki tarbiyat par zati tawajjo dete hain, isliye dakhle mahdood hain.
Pehli 1 Demo Classes Free: Aaiye, is mukhlish karvan ka hissa baniye aur khud farq mehsoos kijiye.
Niche diye gaye link par click karke apni registration mukammal karein:
Duaon ki talib,
Ustadah Parveen Sharif
(Aalima, Professional Author, Columnist & Life Coach)
13 saal ka qalami tajurba aur 6 saal ka mentorship ka sabaq. Musannif: ‘Ek Safa Khud Apni Talash Ka’.
”Sirf aapki Ustadah nahi… aapki Raazdaar, aapki Hamdard, aapki Aman-gah aur aapke naye safar ki Hamsafar.”
Allah aapke is naye aaghaz mein bahut barkat aur asani paida kare.
